Anandmurti Gurumaa - Ishq Ka Khanjar Lyrics


Anandmurti Gurumaa Lyrics

Ishq Ka Khanjar Lyrics



From the Album: Rumi - Love at its Zenith

Main tumhe apni kahani kahene jaa raha tha

Par dard kee lahroo main meri aawaz doob gaye

Maine prayas kiya shabd kahene kaa

Par mere vichar

Najuk ho sheshe kee tarah toot gaye

Badaa jahaz bhi doob sakta hai

Prem ke sagar mein uthate bawander se

Meri kamjor se kishtee ko to chodo

Jo toot kar tukdo mai badal gayee aur

Mujhe choda sirf

Ek lakdi ke tukde ke sahare

Main nanha shaktiheen, uthhata swarg kee aur

Prem ki ek laher se aur

Girata dusari se

Mujhe yeh bhi nahi pataa

Ki main hu bhi ki nahi

Jab sochta hu ki main hu

Main swayam ko be-arth dikhta hu

Jab sochta hu ki main nahi hu

To apnee kimat pataa hu

Mere vechaaro ki taraha

Kabhi marta kabhi uthata hu har din

To main punarjanam par shanka kaise karu

Thak gaya hu jag mein

Prem ki talash karte hue

Antatah kar diya samarpan prem kee vadee mein

Aur ho gaya aazad!

Maro, maro is prem mein

Aur uthho atmaa mein

Maro, maro aur kato ahaim kee rassi

Jo tumhe Kaid mein rakhtee hai

Hatoda lekar chalo dewar ke pas

Tod kar raah banaoo baahar kee

Maro, maro us khubsurat badshah ke aage

Ki tum bhi shaktishali ho sako

Maro, maro aur utho is badal mein se

Tum chamkoge sundertam chand kee tarah

Maun raho, maun raho

Kee maun chinha hai mrityu kaa

Aur tumhare maun se

Jeevan shor karega shehnai se bhi Jyada
Aao mere Satguru

Aao mat door jao mujh se

Aao mere dhokhebaj chand

Dekho is tadapte taraste premi ko

Aao mere sharabi shahanshah

Tum mera jeevan ho

Meri akal, mera sab kuch ho

Meri kali raato ke chamkte chand bano

Main pyasa ho teri roshani ka

Mere hathoo ka karo upyog

Dekho meri aankho se

Suno mere kano se

Tum atma ho her jeevit prani ke

Aao, Aao naachte huay surya ki roshni Ki tarah

Aur dur karo parchaiyoo ko

Tum naye jagat ke dhwaj ho

Aur man hai tumhare charno mai

Lot kar aao mere prem

Mera tuta hridaya

Aur prem peeda ko sah na sakega

Aur vayade nahi

Maine bahaut raate gujar dee neend ke bagair

Mere maun dukh ki, maire thaki akal kee

Aao mare khazane, mare jewan pran

Aao aur mare jakhmo ko bharoo

Aur bano dawaa

Shabd bahut huwaye

Aao ab bina ek shabad kahe.


[Thanks to prashant for adding these lyrics]




Soundtracks / Top Hits / One Hit Wonders / TV Themes / Song Quotes / Miscellaneous