Mere andar ek awaaz kuch jo kehna chahe hai
Aansu mein dikha nahi sakta syahi hai jo behna chahe
Karunga koshish bollu saari baatein rehna jaaye
Dil mera hai be-zubaan kehna chahe par kehna paaye
Main beta intezaar mein par the haan tum na aaye
Is dil ko chahiye kuch nahi chahta hai ke bas kam ho jaaye
Ya bane tum jaisa yaani ki bas wo tum ho jaaye
Kya hogi saza agar mujhse mera hi khoon ho jaaye?
Kasam se aaya nahi kabhi mujhe badalna
Main toota aisa ke mujhe aaya hi nahi sambhalna
Ajeeb nahi lagta hai mujhe kisi pe bhi shaq karna
Dekho unki aankhein toh lagta gaya waqt padna
Galti kar deta hoon pahunchta hoon waqt pr na
Sach tum bolo mat apna kho do ge tum haan haq warna
Zyada tum bolna nahi maane ga koi nahi sach warna
Maut hai sach usse jaayega koi bhi
Bach kar na
In logon ne toh har samay udaya hai mazaak
Pr kasam se seekh raha hoon cheezon ko sach karna
Hamesha kehta rehta hoon mujhe uski zaroorat nahi
Par kabhi kabhi yeh dil kyun chahta hai usse hug karna?
Main jaanta hoon tu gayi thi mujhse tak kar han
Toda kyun is dil ko tumne haath uspe rakh kar han?
I still remember saar rakhne ko tha nahi haan kandha koi
Bola nahi kisi ne chhod de ab tun bas karna
Main badh raha akela par hain log mere saath
Do saal se roz yahi kar raha hai ehsaas
Yeh dil hai dukhta phir main lambi leta saans
Mere aaine mein insaan jiske haath mein hai kaanch
Woh ladka jhel raha jo trauma mila school se
Woh log kehte drama jo saath log the bhool gaye
Laga deta bahana nikalta nahi room se
Usse pasand nahi zamana jeena chahta hai sukoon se
Woh chahta hai sab ajmana chahta hai woh karna rule break
Dhoondta hai thikana jahan jee paaye woh khul ke
Har koi hai begana ab woh khulta nahi hai bhul ke
Usse aata hai hasna akela rehta par chup hai.