Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Maut jab tujhko aawaaz degi
Maut jab tujhko aawaaz degi
Ghar se baahar nikalna padega
Ruth jayeingi jab tujhse khushiyaan
Gham ke dhaanche main dhalna padega
Waqt aesa bhi aayega nadaan
Waqt aesa bhi aayega nadaan
Tujhko kaanton pe chalna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Itna maazur ho jaayega tu
Itna majboor ho jaayega tu
Ye jo makhmal ka chola hai tera
Ye jo makhmal ka chola hai tera
Ye kafan mein badalna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Kar le imaan se dil ki safai
Chod de chod de tu buraaii
Waqt baaki hai ab bhi sambhal ja
Waqt baaki hai ab bhi sambhal ja
Warna dozakh mein jalna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Aesi ho jaegi teri haalat
Kaam aayegi daulat na taakat
Chod kar apni unchi haweli
Chod kar apni unchi haweli
Tujhko baahar nikalna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Pyaar se sabko apna banaale
Jis qadar ho sake tu dua le
Mat laga aag nafrat ki nadaan
Mat laga aag nafrat ki nadaan
Warna tujhko bhi jalna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Gham ke maron ki haalat pe nadaan
Has raha hai magar yaad rakhle
Ashk ban ban ke aankhon se apni
Ashk ban ban ke aankhon se apni
Ek din tujko dhalna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Qabr mein jis ghadi jaayega tu
Nekiyaan kaam aayeingi tere
Baaz aaja gunaahon se warna
Baaz aaja gunaahon se warna
Hashr tak haath malna padega
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Zindagi ek kiraaye ka ghar hai
Ek na ek din badalna padega
Maut jab tujko aawaaz degi
Maut jab tujko aawaaz degi
Ghar se baahar nikalna padega