Kaise likhon mai kahaani nayi
Ho rahi, ho rahi lafson ki kami
Chup-chaap sa hai man
Aur ye dil bezubaan
Bolo kaise likhon, mai nayi daastaan
Pyaar ki, ya koi nazm raat ki
Ya koi raaz unkahaa
Ya koi baat bewajha
Magar kyon aaj mera dil
Hai bezubaan
Hai bezubaan
Hai bezubaan
Dil bezubaan
Baatein ulfaton ki
Ya likhna mai chahoon thoda gham
Toh bole ye sihahi
Mujhse rootha hua hai kalam
Kahon toh kya kahon
Likhon toh kya likhon
Karon mai kaise kuch bayan
Najaane aur kitni dur jayega
Khamoshiyon ka silsila
Ye kehete hai sab, ki zara sabr kar
Aayenge aayenge, lafz bhi lautkar
Magar hai chup mera man
Aur ye dil bezubaan
Bolo kaise likhon, mai nayi daastaan
Pyaar ki, ya koi nazm raat ki
Ya koi raaz unkahaa
Ya koi baat bewajha
Magar kyon aaj mera dil
Hai bezubaan
Hai bezubaan
Hai bezubaan
Dil bezubaan