Chalta raha
Ajnabee raasaton pe
Duniya see hoke juda
Jaana kahan hai
Na mujhko pata hai
Manzil meri lapata
Sang the chale ye zameen
Ye aasaaman
Kabhi sooraj aur kabhi chand taaron
Ka tha kaarwaan
Pata waqt ka bhi na mujhko chala
Hui raat kab, aur kab subha
Raahein ye kaisi
Hain befikar si
Ki chalti hi ye jaa rahi
Maana ki hoon mai
Zara baavala sa
Toh ye sarfiri kam nahi
Ki har chourahe par
Tha manzar wahi
Thi char dishaayein magar
Thi raahein wahi
Mili yaar iske jaisi nahi
Ab chode na chootega
Ye saath kabhi
Ki chalta raha, mai be-nishaan sa
Ki badhta raha, mai be-mukaam
Ki khudgarz sa, mai tha chalaa haan
In raahon ne kiya, hai khud se rihaa
Pata waqt ka bhi na mujhko chala
Ki kab ek musafir, mai ban gaya