Ye raat ki kahani hai
Chalo suno sunaon mai tumhe
Haan arzoo hai iski kya
Ye chahati hai kya bataoon mai
Ye raat ki kahani hai
Chalo suno sunaon mai tumhe
Haan arzoo hai iski kya
Ye chahati hai kya bataoon mai
Ye bin ghabaraye
Ye bin sharmaye
Kahe shaam ko alvida
Hai chaand se yaari
Hai taaron ka aanchal
Meethi si iski zubaan
Hai isko itna sa hi darr
Ki ho na jaye phir seher yahaan
Hai isko itna sa hi darr
Ki ho na jaye phir seher yahaan
Ye raat ki kahani hai
Chalo suno sunaon mai tumhe
Haan arzoo hai iski kya
Ye chahati hai kya bataoon mai
Bataoon mai
Ye khamoshiyon ki looriyaan sunati hai
Ye zindagi ke falsafe bhi batlati hai
Chup reheke bhi karti
Hai sab bayaan
Ye khate meethe se palon ko yun bulati hai
Unke sang tera khwab bhi sajaati hai
Haule haule se leti
Hai phir ye vida
Ye karke ishare
Adab se pukare
Kahe neend ko aa bhi jaa
Ye chaand taaron ko
Bhulakarke tere
Khaabon ki bane paasbaan
Hai isko itna sa hi darr
Ki ho na jaye phir seher yahaan
Hai isko itna sa hi darr
Ki ho na jaye phir seher yahaan
Ye raat ki kahani hai
Chalo suno sunaon mai tumhe
Haan arzoo hai iski kya
Ye chahati hai kya bataoon mai
Ye bin ghabaraye
Ye bin sharmaye
Kahe shaam ko alvida
Hai chaand se yaari
Hai taaron ka aanchal
Meethi si iski zubaan
Hai isko itna sa hi darr
Ki ho na jaye phir seher yahaan
Hai isko itna sa hi darr
Ki ho na jaye phir seher yahaan