Saath mein chal kahin
Karein baatein jo hain ankahee
Saanjh ki hawaoon mein
Raagini sunein koi
Dikhla mujhe ae naazneen
Tere mann ke uss chanda ki chaandni
Unn taarin se milwa kabhi
Kaise hain itne haseen Tu zindagi
Rehna saath mere
Rakhna kabhi na tu faasle
Rehna saath mere
Chaahe yeh dunia rahe na rahe
Saundhi saundhi saansein teri jab labon ko meri chhuke itraaye
Halka nasha chhaaye
Teri meethi baaton pe dil yeh paghalta hai
Aayein na savere jaagun main akele neend na aaye
Bechaini hoti hai na ho tu jo sang mere
Kaise jeeyun re bin tere
Jaise rookhe phoolon ko zindagi tu deti hai
Waise hi khayaalon mein aa
Batla mujhe ae naazneen
Kya hai tere jeevan ki shaayari
Unn shaayaron se milwa kabhi
Kaise hain itne haseen, Tu zindagi
Rehna saath mere
Rakhna kabhi na tu faasle
Rehna saath mere
Chaahe yeh dunia rahe na rahe
Ho gaya jo hona tha
Pa lia jo paana tha
Kaise karoon shukriya tera
Bas yahi ladaai hai
Der se jo aai hai
Tohfa khuda ka hai naata yeh