Khule hai darwaze
Bahar na jaa sakte hum
Aazad huye parindey
Toh kya hai ab humko gum
Taras rahi hai aankhein yeh saari
Band hai jo Chaar dewaaron mein
Dekhenge pehli si subah phir,
Bahengi khushiyan in hawao mein
Mera sheher
Jo thaam gaya ussey tham ne do
Barso beete hai
Raahat ki saansein isko lene do
Mera sheher
Jo tham gaya ussey tham ne do
Barso beete hai
Raahat ki saansein isko lene do
Mehek hawaa ki mere sheher ki
Mann ko mere behlaaye
Aur mann kare sekh loon khudko
Jab dhup khidki se aaye
Mere yaar mujhse jo durr huye
Unse mulaqat ki baichaini hai
Baatein toh hoti rehti
Par gale milne ki sirf deri hai
Taras rahi hai aankhein yeh saari
Band hai jo Chaar dewaaron mein
Dekhenge pehli si subah phir,
Bahengi khushiyan in hawao mein
Mera sheher
Jo thaam gaya ussey tham ne do
Barso beete hai
Raahat ki saansein isko lene do
Mera sheher
Jo tham gaya ussey tham ne do
Barso beete hai
Raahat ki saansein isko lene do
Mera sheher
Jo thaam gaya ussey tham ne do
Barso beete hai
Raahat ki saansein isko lene do
Mera sheher
Jo tham gaya ussey tham ne do
Barso beete hai
Raahat ki saansein isko lene do