Dhundho main hoon kaha
Dhundho main hoon kaha
Meri aankhon mein kya hai
Mujhko bhi de bata
Dhundho main hoon kaha
Dekha maine jahaan
Na kisi ko pata
Tere mere sivaa
Jau tujhme samaa
Han main dhundhta hu
Han main khojta hu
Teri inn panno mein main
Roz hi ghumta hu
Baat jab zikr ki thi
Tujhe hi poojta hu
Baat ab fikr ki hai
Tujhe hi dhundhta hu
Tera na ansh milta
Tera na aks dikhta
Toote bazaaro mein yuh
Tera na dharm bikta
Kho sa gaya jo tu
Phool na ab wo khilta
Baat purani hai ye
Khudse ab kya chupana
Rehta tanaav mein ye
Door ab khudse jaana
Ye kaisi khoj hai
Jiska na hai thikaana
Manzil ab door na hai
Seedha manzil ko paana
Aankhein na uthti ab hai
Sharm hi tera rab hai
Maut se ab na darr hai
Rooh meri nidarr hai
Khoj mein leen hu
Mauke ki na khabar hai
Maila ye dikhta sab hai
Aaina khudme gam hai
Shak hai khudpe jitna
Shaks hi utna bhram hai