Yeshu allah aur krishna
Kaun bhagwan hai apna
Phool pe phool chadaade
Diyen pe diyen jalaade
Mala pe maala japna
Maal ko andar karna
Sant kabir ne dekha tha ek sapna sant kabir ne...
(par maharaj ye kabir kaun tha?)
Arre kabir kaun tha?
Kabir woh tha jiski vaani thi gyan ki gagariya
Kabir woh tha jisne apne dohon se manavta ka dharm samjhaaya
To aaj usi kabir ke bare mein kuch bolenge, gaayenge aur nachaayenge
Sant kabir ne dekha tha ek sapna
Jahan paraya koi nahin, jo bhi hai, apna
Yeh parson ki baat nahin, yeh kal ki breaking news hai
Ki sant kabir aayen dharti pe
Jee haan, sant kabir khud aaye dharti pe
Aur bole ki paanch sau saal mein kuch zyada nahin badla hai
Jeene ke liye jo zaroori hai woh shwaas nahi badla
Poshaak badli hai par insaan nahin badla hai
Darr wahi hai, darr ka samaan kahin badla hai
Pehle chaltithi talwar ki dhaar, ab chalti hai goliyon ki bauchaar
Paanch sau saal mein kuch khaas nahin badla hai
Aur sant kabir ne kaha
Din mein to sab hain gyani
Aur raat mein chor ki naani
Yeshu allah aur krishna
Kaun bhagwan hai apna...aaa...ha...ha
Kabir koyi banta nahin
(wah, kya baat hai maharaj!)
Paida hota hai jab baccha
Toh batein saari nahin jaanta
Woh naam nahi jaanta, dharam nahin jaanta
Jaati ya duniyadaari nahin jaanta
Jaise phool ka rass churaale koyi kala bhanwar
Geeli mitti pe lagaade koyi pair ki mohar
Arre ye duniya hai jo banaati hai deewaren dil aur dimag
Par paida toh sabhi hote hain kabir bankar
Par yeh duniya hai jo karti hai dimag ka gud-gobar
Isiliye kabir koyi banta nahin
Kabir to hota hai bas