Hai khaamosh nazrein, andhera jahaan hai
Magar raushani bhi, apne haathon mein hi hai
Jo banjar hai rootha, hai baarish ka bhookha
Magar aasmaan ki jageer nahi hai
Khone bharosaa mohalla tha saara
Waapas hai paane ko duniya wahin pe
Kahaani shuru ant ka rukh badal ke
Sahi aaur galat faasle khatm kar ke
Dariya kehta hai mera, khud se khair kar le
Tair ke jaana hai ke paar, rab se bair kar le

Hai aankhon mein basta jo sapno ka qissa
Raha apne andar ye apno ka hissa
Adhoori si khwahish, adhoora khazaana
Ye aankhon ke moti, ye saagar bemaana
Ummeedon ki khatir lade hain zamaane
Hain ghayal zameen to hi apne thikaane
Jo goojegi mehfil mein aawaaz meri
To le lenge saansein ye jhoothe fasaane
Sehma hoon khushiyon se main to mil ke
Tabhi dard baahar hai aaya dil ke
Kahaani shuru ant ka rukh badal ke
Sahi aur galat faasle khatm kar ke