Door kahin tha baitha
Teri yaad mujhe aayi to
Socha tum se mil ke
Ehmiyat bata dun tum ko
Jo meri zindagaani mein tumhaari
Hai faaslon se mohabbat kab hi haari
Haalaaton ki aawazein aayein
Door mujhe tum se le jaayein
Baandh ke rakh sakti vaadon ki dor kya
Tum se karta hun dhundhle vaade
Ke jaldi hi vaapas aane
Chal paaye kismat pe mera zor kya
Na tang sa koi karne ko
Phir bhi mujh ko aaraam nahi
Laakhon duaayein main karta hoon
Na ek jahaan tera naam nahi
Hoti to mushkilein kayi si hain
Teri kami dhake na koi bheed
Koshish ye har dafaa karta hoon
Na chheenun tumhaari chain ki neend
Laut ke waapas aaun
To sochun tumhe bataun
Mann mein to rehta hai
Par tum se keh na paaun
Na bolun to paigaam sa likh dun
Bhej ke nagmon sang gubbare
Jaane hawaa le jaati teri ore kya
Tum se karta hun dhundhle vaade
Ke jaldi hi vaapas aane
Chal paaye kismat pe mera zor kya
Haalaaton ki aawazein aayein
Door mujhe tum se le jaayein
Baandh ke rakh sakti vaadon ki dor kya
Tum se karta hun dhundhle vaade
Ke jaldi hi vaapas aane
Chal paaye kismat pe mera zor kya