Aadhi aadhi si hai teri shumaari
Na Jaane poori hogi bhi kabhi
Rakh loon main sahej ke saari yaadein
Jin mein bhi tu shaamil hai abhi
Taara aasmaan se jo kal toota hai
Chaand se abhi rootha hai
Baadalon ki lori sun kar so jayega
Aankhein paas meri talaashein jagah
De bahaane par sau tarah
Baaton mein phir meri kahin kho jayega
Ho jayega, ho jayega
Lafzon mein bhi izhaar ho jayega
Ho Jayega, ho jayega
Jis din khud se iqraar ho jayega
Sardi ke mausam mein jaise lihaaf
Baarish mein ban kar aaye dhoop si
Aadhe pahiyon pe bhi jaise safar
Poora sa kar deti hai aashiqui
(Ho jayega, Ho Jayega)
Jo ek baar bhoole pata manzil ka
Jaayaz hai darna dil ka
Phir gum na jaaye un raahon mein kahin
Par koshish dobaara jo kar ke dekhe
Shaayad aage badh jaaye
Aise ruk jaana bhi to theek nahi
Bhar jayega, bhar jayega
Khaaali khaali sa hai jo bhar jayega
Takraaye jo boondon se kiran
Dheeme dheeme aasmaan sanwar jayega
Ho jayega, Ho jayega
Hmmm, Hmmm