Aa bhi ja, tere pyaar mein
Kitna Gham hai jaana intezaar mein
Chhaaya aisa tera deewanapan
Door hai tu to phir bezaar main
Baahar se dikhti naadaan hai
Andar se main jaanun kitni tez hai
Nazm kitne likh dun ki kaafi ho
Taareefon se itni wo labrez hai
Uski aadaton ki mujhko aadat lagi
Dooriyon se kam na ho meri dillagi
Aa bhi ja, tere pyaar mein
Kitna Gham hai jaana intezaar mein
Toota tha, apne andar simta
Rootha tha, rakh ke rab se gila
Har shikaayat khaarij kar di usse
Kismaton se aage mujhko tu mila
Khushiyon ke lamhon mein dar bhi lagta kahiin
Tera banne ke kaabil main hun ya nahi
Saamne aa kar dun izhaar main
Kitna gham hai jaana intezaar mein