Rang jo mujh pe tera hai chadha
Baitha hai haq jama ke ye bada
Rang jo mujh pe tera hai chadha
Baitha hai haq jama ke ye bada
Do deewarein hain, Sau daraarein hain
Surkh sa hai ye aasmaan
Das dishaon ke, ek gharaunde mein
Simta hai ye shaamiyaan
Do deewarein hain, Sau daraarein hain
Surkh sa hai ye aasmaan
Das dishaon ke, ek gharaunde mein
Simta hai ye shaamiyaan
Khwabon mein chhupa loon tum ko
Palkon se tu kho na jaaye
Saaz mein basa loon tum ko
Lab se door ho na paaye
Sholon mein jo simte tu to
Shauk se ye jal bhi jaaye
Lehrein saahilon ko choomein
Rang to badal hi jaaye
Sooni si khaamoshiyon ko lafzon ka mile sahaara
Khoti si banaawaton ka sikka ye bhi chal hi jaaye
Chal hi jaaye
Khoyi si chaandani ki wafaa
Raat se jaane kab se hai khafaa
Shabnami se moti tere meri aankhon ke humbayaan
Do deewarein hain, sau daraarein hain
Surkh sa hai ye aasmaan